Aankhein Bheeg Jaati Hein - Poetry In Urdu

Poetry In Urdu: Sad Poetry In Urdu, Love Poetry In Urdu, Best Urdu Poetry, Urdu Shayari, Allama Iqbal Poetry, Romantic Poetry In Urdu, Bewafa Poetry, Urdu Poetry SMS, Sad Shayari In Urdu, Allama Iqbal Poetry in Urdu, Love Shayari Urdu, 2 line Urdu Poetry and more...

Monday, December 9, 2019

Aankhein Bheeg Jaati Hein

Aankhein Bheeg Jaati Hein

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hai
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hein
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhein Bheeg Jaati Hein

Bare Logon K Unche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hein



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hai
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jaati Hein

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Wasif Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hein




No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.