ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !! - Poetry In Urdu

Poetry In Urdu: Sad Poetry In Urdu, Love Poetry In Urdu, Best Urdu Poetry, Urdu Shayari, Allama Iqbal Poetry, Romantic Poetry In Urdu, Bewafa Poetry, Urdu Poetry SMS, Sad Shayari In Urdu, Allama Iqbal Poetry in Urdu, Love Shayari Urdu, 2 line Urdu Poetry and more...

Thursday, January 19, 2017

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan

Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan

Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.